javaaz dhoond key laao khushi mananey kaa
yaa mujh ko dosh na do shehr ko rulaaney kaa
gham-e-jahaa'n! tu bhaley mujh ko tor kar rakh dey
main terey dar pey kabhi sar nahi jhukaney kaa
main poori shaan sey takraao'n ga havadis sey
woh hosla tou karain mujh ko aazmaaney kaa
mujhey palat key nahi daikhna kanaro'n ko
mila hai hukm mujhey kashtia'n jalaney kaa
mri nigaah kisi aur zindagi par hai
tumhain hai shaoq yahi zindagi bananey kaa
ham apney shehr kaa haakim usey banatey hain
jo sab sey barh key lutaira ho iss zamaney kaa
main apni zaat key darr key hasaar sey nikloo'n
phir uss key baad mujhey darr nahi zamaney kaa
yaha'n pey ehl e qalam bass qalam chalatey hain
yaha'n ravaaj nahi hai qalam uthaaney kaa
guzar gayey naa sabhi rond kar musafir jee
yahi sila hai yaha'n manzilai'n dikhaney kaa
tumhain merey takhallus sey muhabbat ho gayi hai tou
tum apney pehley baitey kaa musaafir naam rakh laina
gayey guzrey zamano'n ki kahaani yaad aayi hai
tumhain mil kar hamai'n apni javaani yaad aayi hai
tumhain bhi umr-e-rafta key suhaaney khaab yaad aayey
hamain bhi apney shero'n ki ravaani yaad aayi hai
kabhi taivar tumharey iss tarha badley na thay pehley
tumhain shayad koi ranjish puraani yaad aayi hai
yeh kis ney aansu'on mai bheeg kar sajdey lutaayey hain
burhaapey mai kisey apni javaani yaad aayi hai
vafaa key naam laiva thay, muhabbat par yaqee'n thaa jab
tumhain bhi kis zamaney ki kahani yaad aayi hai
kia haqeeqat hai, kia fasana hai,
baad muddat key ham ney jana hai
meray adraak mai zamana, thaa!,
nok-e-adraak par zamana hai
gham ki tafheem ho agar tum ko,
bhool jaao keh muskurana hai
meri ummeed keh rahi hai mujhey,
waqt ney mojza dikhana hai
dushman-e-jaan! tujhey khuda rakhey,
tera andaaz dilbarana hai
shor taza hai saaz-e-dil kaa magar,
dard shayad koi purana hai
iss liyey gholta hoon dard mai dard,
hosla bhi tou aazmana hai
marr gayey ham tou tab yeh bhaid khula,
zindagi dard kaa fasana hai
chor do mujh ko haal par meray,
mashwara mera mukhlisana hai
kho gaya hoon kahein khalaaon mai,
dhoond ab tu mujhey hawaaon mai
ab tou gaaon mai koi ghar bhi nahi,
ab kisey dhoondtey ho gaaon mai
kaat daaley gayey darakht sabhi,
ab key baitho gey kis ki chaaon mai
phir nayey jurm sochney hon gey,
phir taghayyur huva sazaaon mai
kitney bey darr hain shehr key bachey,
hai koi darr sheher ki maa,on mai
kitney jungle hamarey haathon mai,
kitney sehra hamarey paaon mai
ab koi chand mera hai na sitaraa yaaro
ab kahan jaaon gaa mai dard kaa maraa yaaro
mujh ko toofanon mai rehnay ki bohat aadat hai
mujh ko lay jao na saahil pay khudaraa yaaro
dard ki raah mai tum saath chalo gay kab tak
ab bhi kar saktay ho tum ham say kinaraa yaaro
ham nay khud-daari ki taareekh raqam kar daali
doobtay waqt kisi ko na pukaraa yaaro
thaam kar haath, hamain daar talak laao gay
ham nahi lain gay yeh ehsaan tumharaa yaaro
apnay hissay kay sabhi zakhm meray naam karo
mujh pay ilzam dharo saray kaa saaraa yaaro
raat andheray main meray ghar ko jalaya kis nay
mujh ko yeh kaam bhi lagta hai tumharaa yaaro
ham nahi hoon gay tou phir yaad karo gay ham ko
naam likh likh kay mitao gay hamaraa yaaro
janey kia kukh abhi daikhain gi hamaari aankhain
kab talak roain gi yeh ashkon ki maari aankhain
meri aankhon nay yaqeenan koi ghalti ki hai
ghoor kar daikh rahi hain mujhay saari aankhain
meray hamdam nahi maloom keh kiyun aaj mujhay
badli badli huvi lagti hain tumhaari aankhain
jin bhi aankhon nay ravayat say baghavat ki hai
qazi-e-shehr nay karvayein woh kaari aankhain
dosto ham say na ab aankh macholi khailo
thak kay hi baith na jaaein yeh bay-chaari aankhain
pagal aansoo beh jatey hain janey kiyun
aur ham sochtay reh jatey hain janey kiyun
jitni baatain dil mai rakhnay waali hon
woh sab baatain keh jatey hain janey kiyun
aankhain aksar haal-e-dil keh jaati hain
jumley zehen mai reh jatey hain janey kiyun
lut,ti hai havva ki baiti beech bazar
sarey daikhtey reh jatey hain janey kiyun
kiyun hai wafa kamyaab mai sab say poochta hoon
saarey mujh say keh jatey hain, janey kiyun